Friday, January 30, 2009

kuchh sher

le chala jaan meri rooth ke jaana tera

aise aane se to behtar tha na aana tera


Tere naseeb ke kaante khudaa mujhe de de,

Teri fateh ho, mile khud ba khud tujhe manzil.

Ho teri paak nigaahon main dhoop si tezi,

Nazar mile to kare aafataab bhi jhilmil

Naa teri aankh main aansoo kabhi bhi chalke,

Naa teri raah main aaye kabhi koi mushkil.

Chhuye naa dhool ka zarra bhi tere daaman ko,

Tere qadam se pighal jaaye har pahaad ka dil.

Main saans loon to khoon surkh ho teraa,

Tera hai tera hi rahega is Badnaseeb ka dil.

No comments:

Post a Comment